shergarh fort amazing
dosto aaj me aapko shergarh ke baare me batane ja raha hu
shergarh Rajasthan state ke Baran district ki atru tahsil ka ek chota sa gaav he
shergarh atru se lagbag 18km ki duri par parvan nadi ke kinare bsa ek chota sa gav he
etihaskaro ke anusar shergarh prachin kal me ek samradh nagar hua karta tha
ese prachin kal me koshvardan ke name se Jana jatha tha
Delhi ke shask pathan shershah sure ne jab hadothi ke elake pe adikar kiya tho us samay shergarh pe pi adikar kr liya or eska name koshvardan se shergarh kr diya
ethihas karo ko yaha se kahi shilalekh mile he jisase es kile ki prachinta ka pta lgaya ja Sakta he kile se prapt sabse prachin shilalekh nagvanshiye raja samanth devdatt 847 {ई. सन 790} ka hai
yah lekh shergarh durgh ke barkhedi darvaje ke andar drug ki prachir me dahini or stith sidiyo ke niche bne ek aale me stith he
es shilalekh me yaha ke nagvanshiye shasak devdatt dwara kosvardan parwat ke purv me ek bodd mandir vihar nirman karane ka vivran hai..
kile me kai pracheen imarten hai Jo vartmaan me dekh rekh ke abhav ke karan khandahar me badal chuki hai.
kile me isthit lakshminarayan ke mandir me mile shila lekh me dhar ke parmaar Naresh wakpatidev se dayaditya tak ki vanshavali di Hui hai is shilalekh se yah prateet hota hai ki yah mandir pahale bhagwan Somnath ka tha par kaise or kab lakshminarayan ka mandir ho gaya iska pata nhi chala hai...
pahle yaha nagvanshiye rajavo ka adikar tha ense dot rajputho ne chin liya or pir enke baad shergarh pr khichi rajputho ka adikar ho gya
jab khichi rajputho se yah khila shersah Suri ne china tho esne eska name kosvardan se shergarh kr diya
Amazing
ReplyDeleteNice work
ReplyDelete